Saturday, January 16, 2016

Koi Deewana Kehta Hai




Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai

Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai..


Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai

Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai

Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain
Jo tu samjhe to moti hain, jo na samjhe to paani hain


Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya

Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya

Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa
Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya


Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta

Ye ansoon pyar ka moti hai isko kho nahi sakta

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle
Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta


Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama

Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama

Abhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka
Main kisse ko haqeekat main badal baitha to hungama



(Dr. Kumar Viswas)